Wednesday, December 30, 2009

Tanha si koi ladki

tanha si koi ladki
khamosh uski zindagi
rang bharti jai usme
apne hi dhang se

sangeet aur sur mein dhunde apno ko
hansti hansati khikhilati jai
karm hi shradhdha.. usi mein nishtha
maan kar jiye ja rahi wo ladki

rah mein mile kitne jaane anjaane
kisine socha - 'aisa kyun?'
kisine apnana chaha usko
koi dosti lutata phire
koi dard bante
wo chahe ya na chahe

kisine ek baar ye na poocha
ki usey kya chahiye
azaad zindagi ki khonj mein
ab bhi bhatakti phire wo ladki

logon ki samajh itni hi choti
pareshan hoke ji rahi wo ladki

usey khuli hawa mein jeene do
usey bandhano mein na jakro

jeevan mein khuli sans bharne ki khwahish mein
ab bhi beetab hai wo ladki

No comments: